Kaukab Zaki

humse ruThi har KHushi hai aaj kal

Kaukab Zaki

Hyderabad, Telangana, India

1965
ham se rūThī har ḳhushī hai aaj kal
kashmakash meñ zindagī hai aaj kal
ab shumār-e-dushmanāñ mumkin nahīñ
dostoñ kī hī kamī hai aaj kal
jahl kā hai bol baalā chaar sū
āgahī anqā huī hai aaj kal
lafz ko bartā salīqe se magar
ma.anaviyyat kī kamī hai aaj kal
naġhmagī us meñ na sheriyat kahīñ
shā.irī be-kaif sī hai aaj kal
hai taqāza vaqt kā kyā kījiye
dushmanoñ se dostī hai aaj kal
amn gar qaa.em rahe to kis tarah
sharpasandī baḌh ga.ī hai aaj kal
inqalāb aa.egā kaise ai 'zakī'
sarfaroshoñ kī kamī hai aaj kal
Top Urdushayar.com