kārobār-e-ishq  kī  kasrat  kabhī  aisī  na  thī
dil  na  thā  to  tañgī-e-fursat  kabhī  aisī  na  thī
yaas  se  vīrānī-e-hasrat  kabhī  aisī  na  thī
dil  meñ  sannāTā  na  thā  vahshat  kabhī  aisī  na  thī
un  ke  va.ade  par  hameñ  jiinā  paḌā  hai  hashr  tak
varna  tūlānī  shab-e-furqat  kabhī  aisī  na  thī
dekh  Daale  zindagī  meñ  vasl-o-furqat  ke  tilism
ġham  kabhī  aisā  na  thā  rāhat  kabhī  aisī  na  thī
aap  ne  bīmār-pursī  kī  to  jiinā  hai  vabāl
varna  marne  kī  mujhe  hasrat  kabhī  aisī  na  thī
bā-mazā  hai  kis  qadar  inkār  un  kā  vasl  meñ
tujh  meñ  ai  ḳhūn-e-jigar  lazzat  kabhī  aisī  na  thī
dil  ko  kyā  samjhā  diyā  naumīdī-e-jāved  ne
parda-dār-e-ġham  shab-e-furqat  kabhī  aisī  na  thī
zindagī  kī  kashmakash  se  mar  ke  paa.ī  kuchh  najāt
is  se  pahle  ai  'nazar'  fursat  kabhī  aisī  na  thī