haath  rakhte  hī  thā  hāl-e-qalb-e-muztar  ā.īna
dast-e-nāzuk  hai  hasīnoñ  kā  muqarrar  ā.īna
ban  gayā  ġhammāz  shakl  un  kī  dikhā  kar  ā.īna
jo  hamārā  rāz-e-dil  thā  ab  hai  un  par  ā.īna
toḌ  kar  dil  tum  ne  khoyā  imtiyāz-e-husn  bhī
ik  tumhāre  paas  thā  yā  ab  hai  ghar  ghar  ā.īna
dekhnā  hai  kis  meñ  achchhī  shakl  aatī  hai  nazar
us  ne  rakkhā  hai  mire  dal  ke  barābar  ā.īna
aa.ina  rakkho  lo  ki  duunā  lutf  aa.e  vaqt-e-rañj
is  taraf  tum  us  taraf  khīñche  ho  ḳhanjar  ā.īna
aks  se  apne  kisī  ke  garm-joshī  qahr  thī
rah  gayā  āḳhir  pasīne  meñ  nahā  kar  ā.īna
shauq-e-ḳhud-bīnī  sitam  nīndeñ  javānī  kī  ġhazab
be-ḳhabar  sote  haiñ  vo  rakkhā  hai  muñh  par  ā.īna
shoḳhiyoñ  se  ban  gayā  bijlī  kisī  kā  aks  bhī
ab  to  hāthoñ  se  nikaltā  hai  taḌap  kar  ā.īna
yuuñ  kahāñ  mumkin  thā  husn-e-ḳhās  kā  dīdār-e-ām
ban  ga.ī  āḳhir  sarāpā  sub.h-e-mahshar  ā.īna
dekh  leñ  shāyad  'nazar'  vo  dīda-e-insāf  se
le  chalo  TuuTe  hue  dil  kā  banā  kar  ā.īna