jo  muddatoñ  meñ  kisī  shoḳh  kā  shabāb  aayā
rahīn-e-dāman-o-minnat-kash-e-hijāb  aayā
numūd-e-shām  huī  vaqt-e-iztirāb  aayā
jahān-e-ishq-o-mohabbat  meñ  inqalāb  aayā
junūñ  meñ  ziist  thī  apnī  tilism-e-bedārī
qazā  ne  aa  ke  sulāyā  to  ham  ko  ḳhvāb  aayā
na  dil  meñ  dard  hī  baaqī  hai  ab  na  aañkh  meñ  ashk
aḳhīr  vaqt  hai  pāyān-e-iztirāb  aayā
bas  ab  tamām  huā  intizār  qāsid  kā
ki  zindagī  kī  taraf  se  hameñ  javāb  aayā
ġhazab  thī  bazm  meñ  saaqī  kī  tarz-e-mastāna
bharā  huā  na  koī  sāġhar-e-sharāb  aayā
nizām-e-ālam-e-furqat  ḳhilāf-e-qudrat  thā
na  māhtāb  hī  niklā  na  āftāb  aayā
'nazar'  iqāmat-e-duniyā  kī  ḳhatm  muddat  hai
ki  ham  bhī  piir  hue  vaqt-e-pā-turāb  aayā