Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

sare aalam se mere gham ka hai afsana juda

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1866-1923
saare aalam se mire ġham kā hai afsāna judā
dil ke mātam ke liye chāhiye ġham-ḳhāna judā
garche vahshat kā nahīñ hai koī afsāna judā
par nazar aatā hai sab se tirā dīvāna judā
qurbat-e-husn ġhazab hai ki sar-e-mahfil-e-nāz
us ke lab se nahīñ hotā lab-e-paimāna judā
ai ḳhudā kashmakash-e-yās-o-tamannā kab talak
un ke rahne ke liye dil meñ ho har ḳhāna judā
aaj tañg aa ke ye nāseh ko diyā maiñ ne javāb
maz.hab-e-shaiḳh judā mashrab-e-rindāna judā
ḳhushk ho jaa.e jo baaqī hai rag-e-jāñ meñ lahū
dil se honā na abhī ai ġham-e-jānāna na judā
be-ḳhudī meñ bhī raqābat kā magar hai ehsās
ek sahrā meñ hai dīvāne se dīvāna judā
sabr kī mujh ko judā.ī meñ hai talqīn fuzūl
ye to jab ho ki rahe sham.a se parvāna judā
dasht jāgīr hai majnūñ kī to kyā fikr 'nazar'
khod kar ghar ko banā lījiye vīrāna judā
Top Urdushayar.com