haqīqat  mahram-e-asrār  se  pūchh
mazā  añgūr  kā  mai-ḳhvār  se  pūchh
vafā  aġhyār  kī  aġhyār  se  sun
mirī  ulfat  dar  o  dīvār  se  pūchh
hamārī  āh-e-be-tāsīr  kā  haal
kuchh  apne  dil  se  kuchh  aġhyār  se  pūchh
diloñ  meñ  Dālnā  zauq-e-asīrī
kamand-e-gesū-e-ḳhamdār  se  pūchh
dil-e-mahjūr  se  sun  lazzat-e-vasl
nashāt-e-āfiyat  bīmār  se  pūchh
nahīñ  juz  girya-e-ġham  hāsil-e-ishq
hamārī  chashm-e-dariyā-bār  se  pūchh
nahīñ  āb-e-baqā  juz  jalva-e-dost
kisī  lab-tishna-e-dīdār  se  pūchh
fareb-e-vāda-e-dildār  kī  qadr
shahīd-e-ḳhanjar-e-inkār  se  pūchh
fuġhān-e-shauq  ko  maane  nahīñ  vasl
ye  nukta  andalīb-e-zār  se  pūchh
tasavvur  meñ  kiyā  karte  haiñ  jo  ham
vo  tasvīr-e-ḳhayāl-e-yār  se  pūchh
matā-e-be-bahā  hai  sher-e-'hālī'
mirī  qīmat  mirī  guftār  se  pūchh