Altaf Hussain Hali

wasl ka uske dil-e-zar tamannai hai

Altaf Hussain Hali

Panipat, Haryana, India

1837-1914

vasl us ke dil-e-zār tamannā.ī hai

na mulāqāt hai jis se na shanāsā.ī hai

qat.a ummīd ne dil kar diye yaksū sad shukr

shakl muddat meñ ye allāh ne dikhlā.ī hai

quvvat-e-dast-e-ḳhudā.ī hai shakebā.ī meñ

vaqt jab aa ke paḌā hai yahī kaam aa.ī hai

Dar nahīñ ġhair jo kuchh hai so apnā Dar hai

ham ne jab khaa.ī hai apne se zak khaa.ī hai

nashe meñ chuur na hoñ jhāñjh meñ maḳhmūr na hoñ

pand ye pīr-e-ḳharābāt ne farmā.ī hai

nazar aatī nahīñ ab dil meñ tamannā koī

baad muddat ke tamannā mirī bar aa.ī hai

baat sachchī kahī aur uñgliyāñ uTThīñ sab

sach meñ 'hālī' koī rusvā.ī rusvā.ī hai

Top Urdushayar.com