tire  va.ade  kā  har  ik  ko  agar  e'tibār  hotā
to  jahāñ  meñ  kuchh  na  hotā  faqat  intizār  hotā
abhī  kam  hai  soz-e-ulfat  ki  nafas  sharar-fishāñ  hai
agar  aag  tez  hotī  to  ye  sho.ala-bār  hotā
dil-o-tīr-e-ḳhūñ-chakā  kī  vo  shabīh  khīñch  detā
jo  lahū  kā  koī  qatra  sar-e-nok-e-ḳhār  hotā
mujhe  dard  bhī  thā  rāhat  mujhe  ġham  bhī  thā  masarrat
jo  vo  mujh  ko  rañj  de  kar  kabhī  ġham-gusār  hotā
jo  bharā  hai  ġham  se  siina  to  sukūt  hī  hai  behtar
ki  laboñ  par  aah  aatī  to  ik  ishtihār  hotā
kabhī  yuuñ  miTā  na  saktā  use  āsmān-e-zālim
tire  dar  pe  o  sitamgar  jo  mirā  mazār  hotā
ye  hijāb-e-jism-e-ḳhākī  ki  hai  diid  kā  munāfī
kabhī  darmiyāñ  se  uThtā  to  visāl-e-yār  hotā
na  huā  asar  kisī  par  mire  nāla-e-hazīñ  kā
tirā  tiir  thā  na  zālim  ki  jigar  ke  paar  hotā
abhī  aur  tuul  dete  ġham-e-ishq  ko  'nazar'  ham
agar  apnī  zindagī  kā  hameñ  e'tibār  hotā