junūñ  kār-farmā  huā  chāhtā  hai
qadam  dasht  paimā  huā  chāhtā  hai
dam-e-girya  kis  kā  tasavvur  hai  dil  meñ
ki  ashk  ashk  dariyā  huā  chāhtā  hai
ḳhat  aane  lage  shikva-āmez  un  ke
milāp  un  se  goyā  huā  chāhtā  hai
bahut  kaam  lene  the  jis  dil  se  ham  ko
vo  sarf-e-tamannā  huā  chāhtā  hai
abhī  lene  paa.e  nahīñ  dam  jahāñ  meñ
ajal  kā  taqāzā  huā  chāhtā  hai
mujhe  kal  ke  vaade  pe  karte  haiñ  ruḳhsat
koī  va.ada  puurā  huā  chāhtā  hai
fuzūñ  tar  hai  kuchh  in  dinoñ  zauq-e-isyāñ
dar-e-rahmat  ab  vā  huā  chāhtā  hai
qalaq  gar  yahī  hai  to  rāz-e-nihānī
koī  din  meñ  rusvā  huā  chāhtā  hai
vafā  shart-e-ulfat  hai  lekin  kahāñ  tak
dil  apnā  bhī  tujh  sā  huā  chāhtā  hai
bahut  haz  uThātā  hai  dil  tujh  se  mil  kar
qalaq  dekhiye  kyā  huā  chāhtā  hai
ġham-e-rashk  ko  talḳh  samjhe  the  hamdam
so  vo  bhī  gavārā  huā  chāhtā  hai
bahut  chain  se  din  guzarte  haiñ  'hālī'
koī  fitna  barpā  huā  chāhtā  hai