ishq  ko  tark-e-junūñ  se  kyā  ġharaz
charḳh-e-gardāñ  ko  sukūñ  se  kyā  ġharaz
dil  meñ  hai  ai  ḳhizr  gar  sidaq-e-talab
rāh-rau  ko  rah-numoñ  se  kyā  ġharaz
hājiyo  hai  ham  ko  ghar  vaale  se  kaam
ghar  ke  mehrāb  o  sutūñ  se  kyā  ġharaz
gungunā  kar  aap  ro  paḌte  haiñ  jo
un  ko  chañg  o  arġhanūñ  se  kyā  ġharaz
nek  kahnā  nek  jis  ko  dekhnā
ham  ko  taftīsh-e-darūñ  se  kyā  ġharaz
dost  haiñ  jab  zaḳhm-e-dil  se  be-ḳhabar
un  ko  apne  ashk-e-ḳhūñ  se  kyā  ġharaz
ishq  se  hai  mujtanib  zāhid  abas
sher  ko  said-e-zabūñ  se  kyā  ġharaz
kar  chukā  jab  shaiḳh  tasḳhīr-e-qulūb
ab  use  duniyā-e-dūñ  se  kyā  ġharaz
aa.e  ho  'hālī'  pa.e-taslīm  yaañ
aap  ko  chūn-o-chagūñ  se  kyā  ġharaz