dil  se  ḳhayāl-e-dost  bhulāyā  na  jā.egā
siine  meñ  daaġh  hai  ki  miTāyā  na  jā.egā
tum  ko  hazār  sharm  sahī  mujh  ko  laakh  zabt
ulfat  vo  raaz  hai  ki  chhupāyā  na  jā.egā
ai  dil  razā-e-ġhair  hai  shart-e-razā-e-dost
zinhār  bār-e-ishq  uThāyā  na  jā.egā
dekhī  haiñ  aisī  un  kī  bahut  mehrbāniyāñ
ab  ham  se  muñh  meñ  maut  ke  jaayā  na  jā.egā
mai  tund  o  zarf-e-hausla-e-ahl-e-bazm  tañg
saaqī  se  jaam  bhar  ke  pilāyā  na  jā.egā
raazī  haiñ  ham  ki  dost  se  ho  dushmanī  magar
dushman  ko  ham  se  dost  banāyā  na  jā.egā
kyuuñ  chheḌte  ho  zikr  na  milne  kā  raat  ke
pūchheñge  ham  sabab  to  batāyā  na  jā.egā
bigḌeñ  na  baat  baat  pe  kyuuñ  jānte  haiñ  vo
ham  vo  nahīñ  ki  ham  ko  manāyā  na  jā.egā
milnā  hai  aap  se  to  nahīñ  hasr  ġhair  par
kis  kis  se  iḳhtilāt  baḌhāyā  na  jā.egā
maqsūd  apnā  kuchh  na  khulā  lekin  is  qadar
ya.anī  vo  DhūñDte  haiñ  jo  paayā  na  jā.egā
jhagḌoñ  meñ  ahl-e-dīñ  ke  na  'hālī'  paḌeñ  bas  aap
qissa  huzūr  se  ye  chukāyā  na  jā.egā