maiñ  to  maiñ  ġhair  ko  marne  se  ab  inkār  nahīñ
ik  qayāmat  hai  tire  haath  meñ  talvār  nahīñ
kuchh  patā  manzil-e-maqsūd  kā  paayā  ham  ne
jab  ye  jaanā  ki  hameñ  tāqat-e-raftār  nahīñ
chashm-e-bad-dūr  bahut  phirte  haiñ  aġhyār  ke  saath
ġhairat-e-ishq  se  ab  tak  vo  ḳhabar-dār  nahīñ
ho  chukā  naaz  uThāne  meñ  hai  go  kaam  tamām
lillāhil-hamd  ki  bāham  koī  takrār  nahīñ
muddatoñ  rashk  ne  aġhyār  se  milne  na  diyā
dil  ne  āḳhir  ye  diyā  hukm  ki  kuchh  aar  nahīñ
asl  maqsūd  kā  har  chiiz  meñ  miltā  hai  patā
varna  ham  aur  kisī  shai  ke  talabgār  nahīñ
baat  jo  dil  meñ  chhupāte  nahīñ  bantī  'hālī'
saḳht  mushkil  hai  ki  vo  qābil-e-iz.hār  nahīñ