dil  ko  dard-āshnā  kiyā  tū  ne
dard-e-dil  ko  davā  kiyā  tū  ne
tab-e-insāñ  ko  dī  sirisht-e-vafā
ḳhaak  ko  kīmiyā  kiyā  tū  ne
vasl-e-jānāñ  muhāl  Thahrāyā
qatl-e-āshiq  ravā  kiyā  tū  ne
thā  na  juz  ġham  bisāt-e-āshiq  meñ
ġham  ko  rāhat-fazā  kiyā  tū  ne
jaan  thī  ik  vabāl  furqat  meñ
shauq  ko  jāñ-guzā  kiyā  tū  ne
thī  mohabbat  meñ  nañg  minnat-e-ġhair
jazb-e-dil  ko  rasā  kiyā  tū  ne
raah  zāhid  ko  jab  kahīñ  na  milī
dar-e-mai-ḳhāna  vā  kiyā  tū  ne
qat.a  hone  hī  jab  lagā  paivand
ġhair  ko  āshnā  kiyā  tū  ne
thī  jahāñ  kārvāñ  ko  denī  raah
ishq  ko  rahnumā  kiyā  tū  ne
naav  bhar  kar  jahāñ  Dubonī  thī
aql  ko  nāḳhudā  kiyā  tū  ne
baḌh  ga.ī  jab  pidar  ko  mehr-e-pisar
us  ko  us  se  judā  kiyā  tū  ne
jab  huā  mulk  o  maal  rahzan-e-hosh
bādshah  ko  gadā  kiyā  tū  ne
jab  milī  kām-e-jāñ  ko  lazzat-e-dard
dard  ko  be-davā  kiyā  tū  ne
jab  diyā  rāh-rau  ko  zauq-e-talab
sa.ī  ko  nā-rasā  kiyā  tū  ne
parda-e-chashm  the  hijāb  bahut
husn  ko  ḳhud-numā  kiyā  tū  ne
ishq  ko  tāb-e-intizār  na  thī
ġhurfa  ik  dil  meñ  vā  kiyā  tū  ne
haram  ābād  aur  dair  ḳharāb
jo  kiyā  sab  bajā  kiyā  tū  ne
saḳht  afsurda  tab.a  thī  ahbāb
ham  ko  jaadū  navā  kiyā  tū  ne
phir  jo  dekhā  to  kuchh  na  thā  yā  rab
kaun  pūchhe  ki  kyā  kiyā  tū  ne
'hālī'  uTThā  hilā  ke  mahfil  ko
āḳhir  apnā  kahā  kiyā  tū  ne