ranj  aur  ranj  bhī  tanhā.ī  kā
vaqt  pahuñchā  mirī  rusvā.ī  kā
umr  shāyad  na  kare  aaj  vafā
kāTnā  hai  shab-e-tanhā.ī  kā
tum  ne  kyuuñ  vasl  meñ  pahlū  badlā
kis  ko  da.avā  hai  shakebā.ī  kā
ek  din  raah  pe  jā  pahuñche  ham
shauq  thā  bādiya-paimā.ī  kā
us  se  nādān  hī  ban  kar  miliye
kuchh  ijāra  nahīñ  dānā.ī  kā
saat  pardoñ  meñ  nahīñ  Thahartī  aañkh
hausla  kyā  hai  tamāshā.ī  kā
darmiyāñ  pā-e-nazar  hai  jab  tak
ham  ko  da.avā  nahīñ  bīnā.ī  kā
kuchh  to  hai  qadr  tamāshā.ī  kī
hai  jo  ye  shauq  ḳhud-ārā.ī  kā
us  ko  chhoḌā  to  hai  lekin  ai  dil
mujh  ko  Dar  hai  tirī  ḳhud-rā.ī  kā
bazm-e-dushman  meñ  na  jī  se  utrā
pūchhnā  kyā  tirī  zebā.ī  kā
yahī  anjām  thā  ai  fasl-e-ḳhizāñ
gul  o  bulbul  kī  shanāsā.ī  kā
madad  ai  jazba-e-taufīq  ki  yaañ
ho  chukā  kaam  tavānā.ī  kā
mohtasib  uzr  bahut  haiñ  lekin
izn  ham  ko  nahīñ  goyā.ī  kā
hoñge  'hālī'  se  bahut  āvāra
ghar  abhī  duur  hai  rusvā.ī  kā