kyuuñ  kahte  ho  kyā  merī  jafā  ko  nahīñ  dekhā
aate  hue  kah  kah  ke  qazā  ko  nahīñ  dekhā
ā.īna-e-kaunain  haiñ  donoñ  mirī  āñkheñ
tum  ko  nahīñ  dekhā  ki  ḳhudā  ko  nahīñ  dekhā
dekhe  to  koī  tez-ravī  umr-e-ravāñ  kī
phir  kar  kabhī  naqsh-e-kaf-e-pā  ko  nahīñ  dekhā
har  ḳhaar  se  yuuñ  pūchhtī  hai  dasht  meñ  lailā
tum  ne  to  kisī  ābla-pā  ko  nahīñ  dekhā
kis  ġhash  pe  tumheñ  naaz  hai  ai  hazrat-e-mūsā
un  kī  nigah-e-hosh-rubā  ko  nahīñ  dekhā
ā.īna-e-vahdat  hai  dil-e-sāf  hamārā
kis  but  meñ  nazar  shān-e-ḳhudā  ko  nahīñ  dekhā