Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

mani-taraaz-e-ishq har ek baada-KHwar tha

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1866-1923
ma.anī-tarāz-e-ishq har ik bāda-ḳhvār thā
is mai-kade meñ mast jo thā hoshiyār thā
tamhīd thī junūñ kī garebāñ huā jo chaak
ya.anī ye ḳhair-maqdam-e-fasl-e-bahār thā
banñe lage haiñ daaġh sitāre ḳhushā-nasīb
tārīk āsmān-e-shab-e-intizār thā
the zindagī ke saath mohabbat ke kārobār
āḳhir kisī ke dar pe hamārā mazār thā
marne pe bhī kaTā na azāb-e-ġham-e-firāq
kunj-e-lahad ḳhulāsa-e-shab-hā-e-tār thā
āġhāz-e-ishq hī meñ mujhe chup sī lag ga.ī
ik baat bhī na kī ki nafas rāzdār thā
kyā lutf de gayā vo fareb-e-vafā kā daur
goyā kisī ke dil pe hameñ e'tibār thā
duniyā se rah-ravāñ-e-mohabbat guzar ga.e
is kārvāñ kā ālam-e-hastī ġhubār thā
chhuT kar qafas se maiñ na gayā sū-e-bostāñ
āḳhir fareb-ḳhurda-e-fasl-e-bahār thā
ik āh-e-garm ham ne bharī thī shab-e-firāq
jal kar sahar ko ḳhaak dil-e-be-qarār thā
fursat milī na ham ko tamāshā-e-dahr kī
har zarra husn-e-yār kā ā.īna-dār thā
ik laḳht-e-dil bachā thā magar vo bhī ai 'nazar'
āḳhir ko nazr-e-dīda-e-ḳhūñ-nāba-yār thā
Top Urdushayar.com