kasrat  se  daaġh  haiñ  jo  ġham-e-ishq-e-ḳhāl  meñ
til  bhar  jagah  nahīñ  hai  dil-e-pur-malāl  meñ
ifshā-e-rāz-e-ishq  jo  ashkoñ  ne  kar  diyā
Duubā  huā  hai  dil  araq-e-infi.āl  meñ
rahtī  nahīñ  hai  zulf-e-pareshāñ  banāv  se
bikhrī  hai  is  liye  ki  phañse  koī  jaal  meñ
ai  jaan  dil  ke  gor-e-ġharībāñ  meñ  aa.iye
sab  ārzūeñ  dafn  haiñ  gard-e-malāl  meñ
dil  ko  jo  yād-e-jalva-e-āriz  hai  dam-ba-dam
raushan  hai  sham-e-husn  makān-e-ḳhayāl  meñ
kyā  dil  dukhāoge  jo  maza  dard  kā  nahīñ
dam  bhar  to  baiTho  aa  ke  dil-e-pur-malāl  meñ
ham  ko  hujūm-e-ġham  bhī  ġhanīmat  huā  'nazar'
sab  aib  dil  ke  chhup  ga.e  gard-e-malāl  meñ