Siraj Lakhnavi

madad ai KHayal-e-mazi zara aaina uThana

Siraj Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1894-1968

madad ai ḳhayāl-e-māzī zarā aa.ina uThānā

maiñ badal gayā huuñ ḳhud ki badal gayā zamānā

mire ḳhāliq-e-gulistāñ ye samāñ na phir dikhānā

ki ḳhud apnī raushnī meñ nazar aa.e āshiyānā

ye hai jiddat-e-taḳhayyul to bhalā kahāñ Thikānā

mileñ bijliyoñ ke tinke to banā.ūñ āshiyānā

ye qafas qafas na rahtā nazar aatā āshiyānā

mire bāl-o-par se pahle mire dil TuuT jaanā

ye na pūchh phuul barse ki girī diloñ pe bijlī

zarā dekh aa.ine meñ kabhī apnā muskurānā

mirā ek ek aañsū ġham-e-fikr-e-do-jahāñ hai

kabhī ḳhushk karnā dāman kabhī āstīñ sukhānā

rag-o-pai meñ barq dauḌe yahī lutf-e-zindagī hai

mire muskurāne vaale yūñhī muskurā.e jaanā

mire shām-e-ġham zīnat mire āñsuoñ ke taaro

tumheñ kaam kyā sahar se kahīñ tum na Duub jaanā

kahūñ kyā 'sirāj' tum se jo guzar rahī hai dil par

ye qafas zindagī aur ye bahār zamāna

Top Urdushayar.com