Siraj Lakhnavi

aankhon mein aaj aansu phir DabDaba rahe hain

Siraj Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1894-1968

āñkhoñ meñ aaj aañsū phir DabDabā rahe haiñ

ham kal āstīneñ ab tak sukhā rahe haiñ

ehsāñ jatā jatā kar nashtar lagā rahe haiñ

merī kahāniyāñ sab mujh ko sunā rahe haiñ

aañsū ġham-o-ḳhushī ke jalve dikhā rahe haiñ

kuchh jagmagā rahe haiñ kuchh jhilmilā rahe haiñ

saaqī ke rūThne par rindoñ meñ barhamī hai

sāġhar se aaj sāġhar Takrā.e rahe haiñ

ab chāhe shakl-e-fardā jitnī hasīn-tar ho

jo din guzar ga.e haiñ vo yaad aa rahe haiñ

himmat na haar denā ai hasrat-e-nazāra

ik āftāb se ham āñkheñ laḌā rahe haiñ

vahshī haiñ kis ke kitnā suthrā mazāq ġham hai

shabnam se āñsuoñ ke qatre milā rahe haiñ

āñkhoñ par apnī rakh kar sāhil āstīñ ko

ham dil ke Dūbne par aañsū bahā rahe haiñ

khultā 'sirāj' kuchh to ye raaz zindagī

ye har nafas meñ kis ke paiġhām aa rahe haiñ

Top Urdushayar.com