Siraj Lakhnavi

KHayal-e-dost na main yaad-e-yar mein gum hun

Siraj Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1894-1968
ḳhayāl-e-dost na maiñ yād-e-yār meñ gum huuñ
ḳhud apnī fikr-o-nazar kī bahār meñ gum huuñ
ḳhushī se jabr-zada iḳhtiyār meñ gum huuñ
ajiib dilkashī-e-nāgavār meñ gum huuñ
ḳhud apnī yād-e-farāmosh-kār meñ gum huuñ
bahāna ye hai tire intizār meñ gum huuñ
na mohtasib kī ḳhushāmad na mai-kade kā tavāf
ḳhudī meñ mast huuñ apnī bahār meñ gum huuñ
tirā jamāl bhī dekhūñgā vaqt aane de
abhī to apne hī ā.īna-zār meñ gum huuñ
tū hī pukār mirā naam le ke ai ġham-e-ishq
paḌā hai vaqt ġham-e-rozgār meñ gum huuñ
na shaam kī hai ḳhabar aur na sub.h kī pahchān
'sirāj' gardish-e-lail-o-nahār meñ gum huuñ
Top Urdushayar.com