Siraj Lakhnavi

fitrat-e-ishq gunahgar hui jati hai

Siraj Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1894-1968
fitrat-e-ishq gunahgār huī jaatī hai
fikr-e-duniyā bhī ġham-e-yār huī jaatī hai
kitnā nāzuk hai ḳhudā rakkhe mohabbat kā mizāj
ab tasallī bhī dil-āzār huī jaatī hai
jab se chhīnī hai tirī yaad ne niiñd ā.ankhoñ kī
dil kī jo his hai vo bedār huī jaatī hai
aah pābandī-e-ādāb-e-mohabbat tauba
ThanDī har saañs gunāh-gār huī jaatī hai
chhū liyā arsh ko mansūr kī añgḌā.ī ne
sāf-goī rasan-o-dār huī jaatī hai
har tajallī hai tire sāmne sharminda sī
chāñdnī sāya-e-dīvār huī jaatī hai
shukriya shoḳhī-e-husn-e-pas-e-parda kā 'sirāj'
aañkh be-dekhe gunāh-gār huī jaatī hai
Top Urdushayar.com