Mohammad Sadiq Zia

parda-e-saz mein bhi soz ka hamil hona

Mohammad Sadiq Zia

parda-e-sāz meñ bhī soz kā hāmil honā
sham.a se siikh sharīk-e-ġham-e-mahfil honā
bazm-e-hastī pe hai mushkil mirā maa.il honā
mujhe aatā nahīñ sar-gashta bātil honā
nāḳhudā tū mujhe ālūda-e-tūfāñ na samajh
mauj-e-dariyā ko sikhātā huuñ maiñ sāhil honā
sāzgār aaj mujhe raah bhī hai rahbar bhī
merī qismat meñ hai āsūda-e-manzil honā
rishta-e-hosh hai vābasta tujhī se ai dost
kabhī mumkin nahīñ tujh se mirā ġhāfil honā
dil se hoshiyār ki hai dil hī tarah ain hayāt
maut se bhī hai sivā be-ḳhabar-e-dil honā
sa.ī ke ba.ad na kar kāvish-e-fikr-e-anjām
lā.anat-e-sa.ī hai zahmat-kash-e-hāsil honā
bārish-e-abr se bijlī kī lagī bujh na sakī
ġhair-mumkin hai ilāj-e-tapish-e-dil na honā
har qadam par rah-e-hastī meñ na.ī Thokar hai
ai 'ziyā' sahl nahīñ fā.ez-e-manzil honā
Top Urdushayar.com