Obaid Haris

ubharti Dubti sanson ka silsila kyun hai

Obaid Haris

Kamptee, Maharashtra, India

1990
ubhartī Dūbtī sāñsoñ kā silsila kyuuñ hai
kabhī ye soch ki jo kuchh huā huā kyuuñ hai
bane haiñ ek hī miTTī se ham sabhī lekin
hamārī soch meñ is darja fāsla kyuuñ hai
lagā rakhā hai ye kis ne kaḌī ko andar se
ujaaḌ ghar kā darīcha Darā Darā kyuuñ hai
abhī to phuul bhī aa.e nahīñ haiñ shāḳhoñ par
abhī se bojh daraḳhtoñ pe paḌ rahā kyuuñ hai
Thahar gayā hai vo aa kar anā ke nuqte par
usī ke saath mirā vaqt ruk gayā kyuuñ hai
tumhīñ ne soch ke bichchhū lagā ke rakkhe the
nahīñ to zaḳhm tumhārā harā-bharā kyuuñ hai
samajh rahā hai ki terī koī sunegā nahīñ
tū apne jism kī chīḳhoñ se boltā kyuuñ hai
Top Urdushayar.com