misāl-e-sañg  paḌā  kab  tak  intizār  karūñ
pighalne  meñ  jo  ravānī  hai  iḳhtiyār  karūñ
ḳhabar  nahīñ  vahāñ  tū  kaun  se  libās  meñ  ho
maiñ  kaise  ālam-e-pinhāñ  ko  āshkār  karūñ
ba-rañg-e-mauja-e-ḳhushbū  uḌā  uḌā  phire  tū
maiñ  apne  qurb  se  kyuuñ  tujh  ko  zer-e-bār  karūñ
maiñ  dekhtā  huuñ  use  kaise  kaise  rañgoñ  meñ
kashīd-e-rañg  karūñ  aur  baar  baar  karūñ
vo  ek  baar  bhī  mujh  se  nazar  milā.e  agar
to  maiñ  use  bhī  koī  mehrbāñ  shumār  karūñ
jo  tū  gayā  hai  to  maiñ  bhī  chalā  gayā  goyā
aur  ab  bhī  dasht-e-tahayyur  meñ  ḳhud  ko  ḳhaar  karūñ
yūñhī  to  maiñ  'zafar'  is  haal  ko  nahīñ  pahuñchā
fareb  de  jo  mujhe  us  pe  e'tibār  karūñ