qalam  uThā.ūñ  musalsal  ravāñ-davāñ  likh  duuñ
koī  paḌhe  na  paḌe  maiñ  kahāniyāñ  likh  duuñ
jahāñ  tak  aa.eñ  tasavvur  meñ  vādiyāñ  likh  duuñ
phir  un  pe  naam  tumhārā  yahāñ  vahāñ  likh  duuñ
jahāñ  mile  mujhe  roTī  use  likhūñ  dhartī
jahāñ  pahuñch  na  sakūñ  us  ko  āsmāñ  likh  duuñ
nikal  chalūñ  kahīñ  husn-o-junūñ  ke  jañgal  meñ
hiran  kī  aañkh  meñ  kājal  kī  Doriyāñ  likh  duuñ
kahānī  ḳhatm  huī  lekin  is  kā  kyā  kiije
jo  lafz  yaad  ab  aa.e  unheñ  kahāñ  likh  duuñ
jo  zehn  meñ  haiñ  hurūf  un  ko  kaam  meñ  lā.ūñ
jo  dukh  paḌe  hī  na  hoñ  un  kī  dāstāñ  likh  duuñ
kuchh  aisā  patr  likhūñ  aap  ko  jo  bhā  jaa.e
marā  huuñ  aap  ke  gin  apnī  ḳhāmiyāñ  likh  duuñ
ġhazal  to  kah  duuñ  'razā'  ye  bhī  to  ijāzat  ho
jise  tū  hindavī  kahtā  thā  vo  zabāñ  likh  duuñ