Kalidas Gupta Raza

main teri nigah mein ek chaman tha

Kalidas Gupta Raza

Sikanderpur, Punjab, India

1925-2001
maiñ terī nigah meñ ik chaman thā
ye husn-e-nazar thā husn-e-zan thā
pakkā thā jo man kā ḳhasta-tan thā
vo qais kahāñ thā kohkan thā
maḳhmūr sī ho rahī thiiñ āñkheñ
ruj.hān-e-gunāh zau-fagan thā
duniyā maqtal banī thī aur dil
apne hī ḳhayāl meñ magan thā
ġham-ḳhāna ho ke rah gayā hai
vo lafz jo mābad-e-suḳhan thā
uḌtā phirtā ġhubār har-sū
ye dasht-e-ravāñ kabhī chaman thā
kahne ko to mar chukī thī ḳhvāhish
baaqī magar us kā bāñkpan thā
fankār the ham na the kafan-kash
zindoñ ke liye hamārā fan thā
kyā ruuh damak damak uThī thī
kundan sā ḳhayāl kā badan thā
go hoñT 'razā' ke sil ga.e the
ḳhāme kī zabāñ se naġhma-zan thā
Top Urdushayar.com