Kalidas Gupta Raza

main teri nigah mein ek chaman tha

Kalidas Gupta Raza

Sikanderpur, Punjab, India

1925-2001

maiñ terī nigah meñ ik chaman thā

ye husn-e-nazar thā husn-e-zan thā

pakkā thā jo man ḳhasta-tan thā

vo qais kahāñ thā kohkan thā

maḳhmūr ho rahī thiiñ āñkheñ

ruj.hān-e-gunāh zau-fagan thā

duniyā maqtal banī thī aur dil

apne ḳhayāl meñ magan thā

ġham-ḳhāna ho ke rah gayā hai

vo lafz jo mābad-e-suḳhan thā

uḌtā phirtā ġhubār har-sū

ye dasht-e-ravāñ kabhī chaman thā

kahne ko to mar chukī thī ḳhvāhish

baaqī magar us bāñkpan thā

fankār the ham na the kafan-kash

zindoñ ke liye hamārā fan thā

kyā ruuh damak damak uThī thī

kundan ḳhayāl badan thā

go hoñT 'razā' ke sil ga.e the

ḳhāme zabāñ se naġhma-zan thā

Top Urdushayar.com