ye  lamhāt-e-nau  merā  kyā  le  ga.e
kuchh  aañsū  gire  the  uThā  le  ga.e
nadī  naale  qadreñ  bahā  le  ga.e
vafā  le  ga.e  mudda.ā  le  ga.e
kise  DhūñDte  ho  khaḌī  naav  par
sabhī  fāsle  nā-ḳhudā  le  ga.e
ye  kaise  jhakole  the  pindār  ke
mujhe  pañkh  de  kar  uḌā  le  ga.e
chunā  rahnumā  un  ko  ye  kyā  kiyā
kahāñ  se  kahāñ  naqsh-e-pā  le  ga.e
ghar  āñgan  meñ  sone  kā  sūraj  kahāñ
kiran  tak  paḌosī  churā  le  ga.e
laboñ  par  kahīñ  'kālī-dās'  ab  nahīñ
baḌe  naam  'guptā-razā'  le  ga.e