Habab Hashmi

ab talak tund hawaon ka asar baqi hai

Habab Hashmi

ab talak tund havāoñ kā asar baaqī hai
ik charāġh aur sar-e-rāhguzar baaqī hai
vo hamārī nahīñ suntā to gila hai kaisā
ab kahāñ apnī duāoñ meñ asar baaqī hai
dil meñ baaqī haiñ faqat chand lahū ke qatre
ab mire paas yahī zād-e-safar baaqī hai
phir banā leñge usī jā pe nasheman apnā
āshiyāñ jis pe thā vo shāḳh-e-shajar baaqī hai
ma.asiyat ashk nadāmat se bhī dhul jaatī hai
mutma.in huuñ ki abhī dīda-e-tar baaqī hai
jab vo chāhe mujhe do-nīm kare aa ke 'habāb'
dast-e-qātil meñ yahī ek hunar baaqī hai
Top Urdushayar.com