Habab Hashmi

umid-o-bim ke aalam mein dil dahalta hai

Habab Hashmi

umīd-o-bīm ke aalam meñ dil dahaltā hai
vo aate aate ka.ī rāste badaltā hai
abhī to shaam hai tanqīd kar na rindoñ par
sunā hai raat ga.e mai-kada sambhaltā hai
na koī ḳhauf na andesha aur na raḳht-e-safar
ye kaun hai jo mire saath saath chaltā hai
hamāre vāste jis jā pe hadd-e-fāsil hai
vahīñ se ek nayā rāsta nikaltā hai
ajiib chiiz hai ye karb-e-ḳhud-kalāmī bhī
jo baat kiije to ik silsila nikaltā hai
na jaane kitne sar-e-pur-ġhurūr kaTte haiñ
ajiib shaḳhs hai talvār ban ke chaltā hai
'habāb' shikva bajā laao naqd-e-jāñ ke tufail
tumhāre naam kā sikka yahāñ bhī chaltā hai
Top Urdushayar.com