Hamida Shahin

duniya tere matlab ki hai tu duniya ke matlab ka

Hamida Shahin

Lahore, Punjab, Pakistan

1963

duniyā tere matlab hai duniyā ke matlab

aur donoñ ke paas nahīñ hai kuchh bhī mere matlab

aslī baat pe kyā phal aatā hāhā-kār ke mausam meñ

sab ne baaġh lagā rakkhā hai apne apne matlab

apnī āvāz pe laTTū ho kar ibn-e-ādam ne

kaisā kaisā lafz banāyā kaise kaise matlab

rishtoñ ta.amīr meñ koī dar to rakhnā paḌtā hai

chhoTī chhoTī ummīdoñ halke-phulke matlab

baat barā.e baat ḳhālis lutf uThā.eñ aaj zarā

thoḌī der bhulā do jhagḌā ulTe-sīdhe matlab

donoñ par be-laus mohabbat ik chhatrī kaafī thī

tum ne sar par kyā taanā hai dohre tihre matlab

mere dil ko giit banā kar gaao lekin yaad rahe

is par koī harf na aa.e aise vaise matlab

chhoTā ik jumla sun kar din achchhā ho jaatā hai

lekin tere lab se nikle aur ho achchhe matlab

ek añgūThī ghaḌ lo biibī roz sadā.eñ detā hai

duur kahīñ ik siipī andar motī gahre matlab

Top Urdushayar.com