Hamida Shahin

hum ghair samajhte use aisa bhi nahin KHair

Hamida Shahin

Lahore, Punjab, Pakistan

1963
ham ġhair samajhte use aisā bhī nahīñ ḳhair
lekin vo kisī kā nahīñ apnā bhī nahīñ ḳhair
jo sochte rahte haiñ vo karnā nahīñ mumkin
karne ke irāde se to sochā bhī nahīñ ḳhair
shohrā hai ki rusvā.ī kī tasdīq hai vo shaḳhs
shohrat kā bharosa koī hotā bhī nahīñ ḳhair
kuchh ban ke dikhāne kī tamannā kā banā kyā
itnī sī tamannā meñ to bantā bhī nahīñ ḳhair
ham us ke liye apnī nazar meñ bure Thahreñ
achchhā hai vo achchhā bha.ī itnā bhī nahīñ ḳhair
kuchh saiñt ke rakhne kā hameñ shauq nahīñ thā
kuchh saiñt ke rakhne ke liye thā bhī nahīñ ḳhair
go ek aziyyat hai tirā rañg-e-taġhāful
ye rañg kisī aur pe sajtā bhī nahīñ ḳhair
us shaḳhs pe tanhā.ī to utregī balā kī
jo hai bhī nahīñ ḳhair hai lagtā bhī nahīñ ḳhair
sab ḳhair ho sab ḳhair ho ai majma-e-zāhir
ham bhiiḌ kā hissa nahīñ tanhā bhī nahīñ ḳhair
ye ḳhair faqat lafz nahīñ fahm-o-yaqīñ hai
jo ḳhair samajhtā nahīñ hotā bhī nahīñ ḳhair
Top Urdushayar.com