apnoñ  ke  darmiyān  salāmat  nahīñ  rahe
dīvār-o-dar  makān  salāmat  nahīñ  rahe
nafrat  kī  gard  jam.a  nigāhoñ  meñ  rah  ga.ī
ulfat  ke  qadr-dān  salāmat  nahīñ  rahe
raushan  haiñ  aarzū  ke  bahut  zaḳhm  aaj  bhī
zaḳhmoñ  ke  kuchh  nishān  salāmat  nahīñ  rahe
aisā  nahīñ  ki  sirf  yaqīñ  dar-ba-dar  huā
dil  ke  ka.ī  gumān  salāmat  nahīñ  rahe
mahfūz  bām-o-dar  haiñ  sadāqat  ke  aaj  bhī
dhoke  ke  pandān  salāmat  nahīñ  rahe
apnoñ  se  apne  lahje  meñ  bātoñ  kā  hai  kamāl
kuchh  shaḳhs  bad-zabān  salāmat  nahīñ  rahe
vo  log  be-adab  the  'kañval'  be-ḳhulūs  the
ham  jaise  be-zabān  salāmat  nahīñ  rahe