tujh  se  maiñ  mujh  se  āshnā  tum  ho
maiñ  huuñ  ḳhushbū  magar  havā  tum  ho
maiñ  likhāvaT  tumhāre  hāthoñ  kī
merī  taqdīr  kā  likhā  tum  ho
tum  agar  sach  ho,  maiñ  bhī  jhuuT  nahīñ
aks  maiñ,  merā  aa.ina  tum  ho
be-ḳhudī  ne  mirā  bharam  toḌā
maiñ  samajhtā  rahā  ḳhudā  tum  ho
maiñ  huuñ  mujrim,  mire  ho  munsif  tum
maiñ  ḳhatā  huuñ,  mirī  sazā  tum  ho
siip  kī  aas  ban  ke  chāhūñ  tumheñ
laa.e  jo  motī  vo  ghaTā  tum  ho
apnī  majbūriyoñ  kā  rañj  nahīñ
bevafā  maiñ  huuñ,  bā-vafā  tum  ho
rog  ban  kar  paḌā  huā  hai  'kañval'
tum  davā  ho,  mirī  duā  tum  ho