bas  apnī  ḳhaak  par  ab  ḳhud  hī  sultānī  kareñge  ham
isī  miTTī  pe  rañgoñ  kī  farāvānī  kareñge  ham
use  rone  do  mat  roko  ki  ronā  bhī  zarūrī  hai
kabhī  is  ātish-e-sayyāl  ko  paanī  kareñge  ham
tumhāre  ḳhvāb  lauTāne  pe  sharminda  to  haiñ  lekin
kahāñ  tak  itne  ḳhvāboñ  kī  nigahbānī  kareñge  ham
mohabbat  meñ  ye  sharteñ  to  tijārat  bantī  jaatī  haiñ
tirī  ḳhātir  kahāñ  tak  kār-e-lā-sānī  kareñge  ham
bahut  be-zār  kar  rakkhā  hai  ham  ko  kār-e-duniyā  ne
kisī  ke  dil  meñ  ab  kuchh  roz  mehmānī  kareñge  ham
ye  rishta  dostī  kā  lutf  se  ḳhālī  hai  so  is  ko
kisī  tadbīr  se  ab  dushman-e-jānī  kareñge  ham