TuuTe  hue  ḳhvāboñ  ke  talabgār  bhī  aa.e
ai  jins-e-girāñ  tere  ḳharīdār  bhī  aa.e
muddat  huī  sunte  hue  tamhīd-e-tilismāt
ab  qisse  meñ  aage  koī  kirdār  bhī  aa.e
kyā  ḳhatm  na  hogī  kabhī  sahrā  kī  hukūmat
raste  meñ  kahīñ  to  dar-o-dīvār  bhī  aa.e
ab  jis  ke  asar  meñ  hai  ye  vīrān  havelī
vo  saaya  kabhī  to  pas-e-dīvār  bhī  aa.e
phir  shahr  meñ  ayyām-e-guzishta  kī  uḌī  raakh
phir  zad  meñ  ka.ī  jubba-o-dastār  bhī  aa.e
pahle  to  sabhī  tere  sarāpā  meñ  hue  gum
phir  zikr  meñ  aage  tire  atvār  bhī  aa.e