mujhī  meñ  jiitā  hai  sūraj  tamām  hone  tak
maiñ  apne  jism  meñ  aatā  huuñ  shaam  hone  tak
ḳhabar  milī  hai  mujhe  aaj  apne  hone  kī
kahīñ  ye  jhuuT  na  ho  jaa.e  aam  hone  tak
kahāñ  ye  jur.at-e-iz.hār  thī  kisī  shai  meñ
sukūt-e-shab  se  mire  ham-kalām  hone  tak
ye  puḳhtagī  thī  ġhamoñ  meñ  na  dhaḌkanoñ  meñ  sabāt
tumhāre  dard  kā  dil  meñ  qayām  hone  tak
ye  chāñd  taare  mirī  dastaras  se  duur  nahīñ
ki  fāsle  haiñ  mire  tez-gām  hone  tak
guzar  rahe  haiñ  nazar  se  nazar  milā.e  baġhair
Thahar  bhī  jā.iye  ek  ek  jaam  hone  tak
diye  bujhā  diye  jaate  haiñ  sub.h  tak  'āzim'
mirā  havāla  diyā  us  ne  naam  hone  tak