paḌho  ibārat-e-taḳhlīq-e-dard  chehre  par
likhī  hai  karb  kī  rūdād  zard  chehre  par
chhupā  rahī  hai  ḳhad-o-ḳhāl  jhurriyāñ  ban  kar
jamī  huī  thī  safar  meñ  jo  gard  chehre  par
kamāl-e-zabt  to  ye  hai  ki  rañg-e-māyūsī
dam-e-shikast  bhī  jhalke  na  mard-chehre  par
pighaltī  kyuuñ  na  bhalā  barf  ajnabiyyat  kī
nazar  kī  dhuup  jo  Thahrī  thī  sard  chehre  par
maiñ  dhuul  ahl-e-chaman  merī  qadr  kyā  jāneñ
mujhe  sajāte  haiñ  sahrā-navard  chehre  par
har  ek  jism  barahna  lage  vahāñ  'āzim'
jahāñ  naqāb  rakhe  fard  fard  chehre  par