mere  hamrāh  sitāre  kabhī  jugnū  nikle
justujū  meñ  tirī  har  raat  muhim-jū  nikle
terī  rotī  huī  āñkheñ  haiñ  mirī  āñkhoñ  meñ
varna  patthar  meñ  kahāñ  jaan  ki  aañsū  nikle
saañs  lene  kī  jasārat  bhī  na  kar  pā.ūñgā
jism  se  mere  jo  pal  bhar  ke  liye  tū  nikle
ahl-e-dil  yūñhī  tar-o-tāza  nahīñ  rakhte  unheñ
zaḳhm  bhar  jaa.eñ  to  mumkin  nahīñ  ḳhushbū  nikle
zikr  meñ  tere  gavārā  nahīñ  itnā  bhī  mujhe
mā-sivā  tere  koī  aur  bhī  pahlū  nikle
terī  chaukhaT  pe  pahuñchnā  hai  salāmat  mujh  ko
jaan  pyāse  kī  jo  nikle  to  lab-e-jū  nikle
maiñ  vo  nādān  ki  DhūñDūñ  koī  apne  jaisā
aur  ahbāb  the  'āzim'  ki  arastū  nikle