kārobārī  shahroñ  meñ  zehn-o-dil  mashīneñ  haiñ  jism  kārḳhāna  hai
jis  kī  jitnī  āmadanī  itnā  hī  baḌā  us  ke  hirs  kā  dahāna  hai
ye  shu.ūr-zāde  jo  manfa.at-guzīda  haiñ  haif  un  kī  nazroñ  meñ
be-ġharaz  mulāqāteñ  aur  ḳhulūs  kī  bāteñ  fe.al-e-ahmaqāna  hai
apnī  zaat  se  qurbat  apne  naam  se  nisbat  apne  kaam  se  raġhbat
apnā  ḳhol  hī  un  kā  ḳhitta-e-marāsim  hai  kū-e-dostāna  hai
har  ḳhushī  kī  mahfil  meñ  qahqahe  luTāte  haiñ  ḳhud  hī  lūTte  bhī  haiñ
ġham  kī  majlisoñ  meñ  bhī  sab  kā  apnā  apnā  sar  apnā  apnā  shāna  hai
jin  buland  shāḳhoñ  par  narm-rau  havā.eñ  haiñ  bijliyoñ  kā  Dar  bhī  hai
irtiqā  ke  jañgal  meñ  hādsāt  kī  zad  par  sab  kā  āshiyāna  hai
tarz-e-bāġhbānī  meñ  shiddat-e-numū-ḳhezī  kaise  gul  khilā.egī
nīm-vā  shagūfoñ  ke  rañg-e-dil-farebī  meñ  bū-e-tājirāna  hai
jagmagāte  bām-o-dar  jhilmilāte  rauzan  haiñ  chamchamātī  dahlīzeñ
zāhirī  chamak  'āzim'  turra-e-sharāfat  hai  raunaq-e-zamāna  hai