jo  maiñ  ne  kah  diyā  us  se  mukarne  vaalā  nahīñ
ki  āsmān  zamīñ  par  utarne  vaalā  nahīñ
maiñ  reza  reza  huuñ  lekin  namī  abhī  tak  hai
havā.eñ  laakh  chaleñ  maiñ  bikharne  vaalā  nahīñ
maiñ  jāntā  huuñ  vo  achchhe  dinoñ  kā  sāthī  hai
bure  dinoñ  meñ  idhar  se  guzarne  vaalā  nahīñ
hamāre  shahr  meñ  chehra  nahīñ  rahā  shāyad
paḌe  haiñ  ā.ina-ḳhāne  sañvarne  vaalā  nahīñ
tire  karam  kā  sazā-vār  maiñ  huuñ  yā  dil  hai
diyā  hai  tū  ne  vo  kaasa  jo  bharne  vaalā  nahīñ
kahāñ  kā  ḳhvāb  musāfir  kī  aañkh  meñ  'āzim'
ki  bahte  paanī  meñ  manzar  Thaharne  vaalā  nahīñ