vahshat  meñ  dil  kitnā  kushāda  karnā  paḌtā  hai
in  giilī  āñkhoñ  ko  sahrā  karnā  paḌtā  hai
mujh  ko  ik  āvāz  tirī  sunñe  kī  koshish  meñ
kitne  sannāToñ  kā  pīchhā  karnā  paḌtā  hai
tab  khultī  hai  ham  par  qadr-o-qīmat  phūloñ  kī
jab  kāñToñ  ke  saath  guzārā  karnā  paḌtā  hai
yaar  baḌā  ban  kar  rahnā  āsān  nahīñ  hotā
apne  aap  ko  kitnā  chhoTā  karnā  paḌtā  hai
koh-e-girāñ  haa.il  hotā  hai  jis  ke  raste  meñ
ik  din  us  ko  tez  dhamāka  karnā  paḌtā  hai
apne  ghar  kī  bāteñ  'āzim'  ghar  tak  rakhne  meñ
dīvār-o-dar  se  samjhautā  karnā  paḌtā  hai