tumhāre  bin  ab  ke  jān-e-jāñ  maiñ  ne  iid  karne  kī  Thaan  lī  hai
ġhamoñ  ke  ek  ek  pal  se  ḳhushiyāñ  kashīd  karne  kī  Thaan  lī  hai
maiñ  us  kī  bātoñ  kā  zahr  apnī  ḳhamoshiyoñ  meñ  utaar  lūñgā
agar  muzir  hai  to  maiñ  ne  us  ko  mufīd  karne  kī  Thaan  lī  hai
talāsh  kī  shiddatoñ  ne  arz-o-samā  kī  sab  dūriyāñ  miTā  diiñ
so  maiñ  ne  ab  terī  justujū  ko  shadīd  karne  kī  Thaan  lī  hai
machine  bonā  hai  jin  kā  pesha  unheñ  zamīñ  bech  dī  hai  tum  ne
kisān  ho  kar  ḳhud  apnī  miTTī  palīd  karne  kī  Thaan  lī  hai
ye  merī  tahzīb  kā  asāsa  hī  merī  pahchān  ban  sakegā
tamām  kohna  rivāyatoñ  ko  jadīd  karne  kī  Thaan  lī  hai
siyāh  shab  kā  ġhanīm  shāyad  ki  aa  gayā  raushnī  kī  zad  meñ
sabhī  charāġhoñ  ko  jis  ne  'āzim'  shahīd  karne  kī  Thaan  lī  hai