āvāz  ke  saudāgaroñ  meñ  itnī  fankārī  to  hai
sher-o-adab  ke  naam  hī  par  garm-bāzārī  to  hai
koī  kahe  koī  sune  koī  likhe  koī  paḌhe
har  dil  ko  bahlā.e  ġhazal  bik  jaa.e  bechārī  to  hai
kavvoñ  ke  aage  guñg  haiñ  kyā  tūtiyāñ  ki  bulbuleñ
ahl-e-chaman  haiñ  mutma.in  rasm-e-suḳhan  jaarī  to  hai
maanā  zamīn-e-karbalā  par  dastaras  mumkin  nahīñ
lekin  sar-e-kūfa  yazīdoñ  kī  amal-dārī  to  hai
in  shā.iroñ  meñ  ek  do  shā.er  bhī  haiñ  mahfil-zada
sad-āfrīñ  in  Thekā-dāroñ  meñ  ravā-dārī  to  hai
kis  ne  kahā  'āzim'  ḳhushāmad  jī-huzūrī  aib  hai
rāh-e-talab  hamvār  karne  kī  kalā-kārī  to  hai