satā.ish  na  kījiye  tabrra  sahī
nahīñ  bint-e-añgūr  Tharrā  sahī
ta.assur  nahīñ  un  ke  ruḳh  par  na  ho
hai  qur.āñ  to  qur.āñ  muarrā  sahī
magar  kitne  sūraj  haiñ  dushman  mire
mirī  haisiyat  ek  zarra  sahī
kahāñ  chain  tere  junūñ-kār  ko
ġham-e-do-jahāñ  se  mubarrā  sahī
badan  dar  badan  ishq  rūh-e-ravāñ
zamāñ  dar  zamāñ  ek  Dharrā  sahī
ra.ūnat  ġharībī  kā  mahsūl  hai
sukhī  ko  saḳhāvat  kā  ġharrā  sahī
piyeñge  yūñhī  hañs  ke  ham  zahr-e-ġham
hamāre  liye  roz-marra  sahī
milā  kuchh  to  qātil  se  'āzim'  tumheñ
pas-e-dāġh-e-dil  ek  chharrā  sahī