zehn  par  jab  dard  ḳhāmoshī  kī  chādar  tāntā  hai
qatra  qatra  aañkh  se  lafz-o-ma.ānī  chhāntā  hai
har  kas-o-nā-kas  ko  raas  aatī  nahīñ  āvāragardī
rāste  us  par  hī  khulte  haiñ  jo  chalnā  jāntā  hai
naqsh-e-pārīna  haTā  kar  maiñ  na.e  paikar  tarāshūñ
kūza-gar  kañkar  haTā  kar  jaise  miTTī  sāntā  hai
vo  hai  dīvāna  use  gumnāmī  o  tash.hīr  se  kyā
ḳhāmushī  se  kar  guzartā  hai  jo  dil  meñ  Thāntā  hai
kor-chashmī  ne  bikherā  husn  kā  shīrāza  varna
ishtihārī  jism  bhī  poshīdgī  ko  māntā  hai
ye  sila  bhī  kam  nahīñ  'āzim'  tirī  mashq-e-suḳhan  kā
koī  ġhazloñ  ke  havāle  se  tujhe  pahchāntā  hai