kyā  karūñ  zarf-e-shanāsā.ī  ko
maiñ  taras  jaatā  huuñ  tanhā.ī  ko
ḳhāmushī  zor-e-bayāñ  hotī  hai
rāsta  dījiye  goyā.ī  ko
tere  jalvoñ  kī  farāvānī  hai
aur  kyā  chāhiye  bīnā.ī  ko
un  kī  har  baat  bahut  mīThī  hai
muñh  lagāte  nahīñ  sachchā.ī  ko
ai  samundar  maiñ  qatīl-e-ġham  huuñ
jāntā  huuñ  tirī  gahrā.ī  ko
baiThā  rahtā  huuñ  akelā  yūñhī
yaad  kar  ke  tirī  yaktā.ī  ko
khīñch  le  jaate  haiñ  kuchh  dīvāne
apnī  jānib  tire  saudā.ī  ko
uf  tamāsha-gah-e-duniyā  'āzim'
kitnī  fursat  hai  tamāshā.ī  ko