maiñ  ne  jab  had  se  guzarne  kā  irāda  kar  liyā
manzil-e-dushvār  ko  tai  pā-piyāda  kar  liyā
be-haqīqat  ho  ga.e  merī  nazar  meñ  mehr-o-māh
maiñ  ne  jab  ghar  ke  diye  se  istifāda  kar  liyā
āñsuoñ  ne  ġham  ko  uryāñ  kar  diyā  hotā  magar
dil  kī  ġhairat  ne  tabassum  ko  labāda  kar  liyā
amn  kī  sab  shāhrāheñ  tañg  ho  kar  rah  ga.iiñ
hādsoñ  ne  rāsta  kitnā  kushāda  kar  liyā
umr  bhar  'āzim'  rahegā  nashsha-e-ġham  kā  ḳhumār
aañkh  ko  paimāna-e-ḳhūñ  dil  ko  baada  kar  liyā