Ainuddin Azim

la-makan se bhi pare KHud se mulaqat karen

Ainuddin Azim

lā-makāñ se bhī pare ḳhud se mulāqāt kareñ
khul ke tanhā.ī kī vus.at pe zarā baat kareñ
har baḌe naam ko chhoToñ se jilā miltī hai
shahr kī hāshiya-ārā.ī mazāfāt kareñ
laaj vīrānī kī rakhnī hai chalo ahl-e-junūñ
ābla-pā.ī se ābād ḳharābāt kareñ
khet sūkhe to havā phir se sanak jā.egī
aap bādal haiñ to da.avā nahīñ barsāt kareñ
gulnavāzo hameñ kāñToñ ne navāzā hai bahut
ham pe vājib hai ki zaḳhmoñ kī mudārāt kareñ
aish-e-āvārgī kyā kyā the tirī galiyoñ meñ
soch kī pariyāñ vahīñ ab guzar auqāt kareñ
maiñ agar zikr bhī us kā na karūñ sheroñ meñ
isti.ārāt alāmāt ishārāt kareñ
matn ko husn ke eraab atā ham ne kiye
ham se tashrīh talab jism kī āyāt kareñ
ġhair mahram se bachā apnī ġhazal ko 'āzim'
chheḌḳhānī na kahīñ maulvī hazrāt kareñ
Top Urdushayar.com