lā-makāñ  se  bhī  pare  ḳhud  se  mulāqāt  kareñ
khul  ke  tanhā.ī  kī  vus.at  pe  zarā  baat  kareñ
har  baḌe  naam  ko  chhoToñ  se  jilā  miltī  hai
shahr  kī  hāshiya-ārā.ī  mazāfāt  kareñ
laaj  vīrānī  kī  rakhnī  hai  chalo  ahl-e-junūñ
ābla-pā.ī  se  ābād  ḳharābāt  kareñ
khet  sūkhe  to  havā  phir  se  sanak  jā.egī
aap  bādal  haiñ  to  da.avā  nahīñ  barsāt  kareñ
gulnavāzo  hameñ  kāñToñ  ne  navāzā  hai  bahut
ham  pe  vājib  hai  ki  zaḳhmoñ  kī  mudārāt  kareñ
aish-e-āvārgī  kyā  kyā  the  tirī  galiyoñ  meñ
soch  kī  pariyāñ  vahīñ  ab  guzar  auqāt  kareñ
maiñ  agar  zikr  bhī  us  kā  na  karūñ  sheroñ  meñ
isti.ārāt  alāmāt  ishārāt  kareñ
matn  ko  husn  ke  eraab  atā  ham  ne  kiye
ham  se  tashrīh  talab  jism  kī  āyāt  kareñ
ġhair  mahram  se  bachā  apnī  ġhazal  ko  'āzim'
chheḌḳhānī  na  kahīñ  maulvī  hazrāt  kareñ